अंग्रेजी बोलना सीखें बिना ग्रामर रटे
Ek ghanta. Live. Aap sirf sunenge nahi, khud bolenge bhi.
Tense chart yaad hai, phir bhi bolte waqt atak jaate hain? Asli wajah samjhenge. Aur ye bhi ki iska ilaaj rules nahi hain.
Chhote-chhote sentences, Hindi matlab ke saath. Main bolunga, aap dohrayenge. Wahi tareeka jo meri classes mein chalta hai, session mein hi try karke dekhiye.
Pehle sunna aur bolna, phir padhna aur likhna. Roz kitna time dena hai, aur kaise pata chalega ki aap aage badh rahe hain.
18 saal se kam? Form parent bharein. Bachche parent ke saath join karein.
Morena, MP se hoon. Navy mein seva ki, MNC mein kaam kiya, phir apni recruitment firm khadi ki. Interviews mein ek cheez baar-baar dikhi. Log kaabil the, baat samajhte bhi the, par English bolte waqt atak jaate the.
Ye atkan rules ratne se nahi jaati. Bolne se jaati hai. Isi liye ye classes shuru ki hain.
Form bharte hi aapko Zoom link aur WhatsApp group ka link mil jayega. Webinar se pehle yaad bhi dila denge.
Webinar ke aakhir mein 1 January 2027 se shuru hone wale batches ke baare mein bataunga: 15 log ek batch mein, ₹1,999 mahina. Lena hai ya nahi, poori tarah aapki marzi. Webinar free hai, koi shart nahi.
Haan. Registration free, webinar free. Koi card ya payment nahi maanga jayega.
Phone ya laptop pe Zoom app. Link registration ke baad milega aur WhatsApp group mein bhi aayega.
Zero se bhi chalega. Har sentence ka Hindi matlab saath mein bataya jayega.
Webinar record hoga, aur replay link registered logon ko bheja jayega. Bachchon ka video kabhi public nahi kiya jayega.
Haan, parent ke saath. Form parent bharein, apna naam aur number daal ke.