Last updated: 21 November 2026. English Classes by Rajkumar Tomar, Rajkumar Tomar Education Labs ki pehal. Contact: info@rajkumartomar.com, WhatsApp +91 79994 41094.
Webinar form mein: naam, WhatsApp number, email (optional), shehar, umar ka group, aapne humare baare mein kahan suna. 18 saal se kam ho to parent ka naam, number aur sahmati. Saath mein ye bhi ki aap kis link se aaye (jaise kis ad ya post se).
Webinar ka link aur reminder bhejne ke liye, replay bhejne ke liye, aur classes ke baare mein baat karne ke liye. Bas itna.
Ek private Google Sheet mein. Sirf Rajkumar Tomar aur family teachers dekh sakte hain. Hum aapki jaankari kisi ko bechte nahi, kisi ko dete nahi.
Sirf tab, jab aapne form mein haan kaha. WhatsApp group mein hum kisi ko apne aap add nahi karte, aap khud link se join karte hain. STOP likhiye, messages band.
18 saal se kam ke liye account parent ka hota hai, aur sahmati bhi parent deta hai. Bachchon ki recording kabhi public nahi ki jaati.
Ye site Google Analytics aur Meta Pixel use karti hai, taaki pata chale ki kaunsa post ya ad kaam kar raha hai. Ye cookies use karte hain. Browser settings se aap inhe block kar sakte hain.
Apni jaankari dekhni, sudhaarni ya hatwani ho to info@rajkumartomar.com pe likhiye ya WhatsApp kariye. 7 din ke andar kar denge.